Mintpop Loan App Review 2025 | Real Truth Exposed Mint Pop App !

Mintpop Ek Aisa Loan App Hai Jo Google Play Store Ka “Finance” Category Me Available Hai. Play Store Ke According Ya App Ek Credit Aur Money Management Tool Ke Roop Me Listed Hai. Jiska Main Purpose Bataya Gaya Hai – “Clear Credit Insights, Smart Credit Tips, Income & Expense Tracker, Budget Planner”. About Section Me Kahin Bhi “Loan” Ya “Instant Credit” Ka Direct Mention Nahi Hai. Jisse User Ko Pehle Lagta Hai Ki Ya Ek Online Loan App Hai.

Jab Main Is App Ko Use Kiya, Tab Pata Chala Mintpop Actual Main 7 Din Wala Short-Term Loan App Hai. Ya App User Ko Chhota Amount Ka Loan Deta Hai, Par Repayment Ke Liye Sirf 7 Din Ka Time Dete Hai. Is Chhota Duration Ke Liye 40% Se 50% Tak Extra Charge Karte Hai, Alag Alag Hidden Fees Aur Processing Charges Ke Naam Par.

App Apne Interface Me Ya Dikhata Hai Ki Loan RBI Registered NBFC Ke Through Diya Ja Raha Hai, Lakin Verification Main Aisa Koi Valid Evidence Mujhe Nahi Mila. Mintpop Official RBI Registered NBFC Partner Ke Bina High Interest Based Loan Issue Karte Hai. Jo India Ka RBI Guidelines Ke Against Hai. Is Prakar Ke App Ko “Fake Loan App” Ya “Unregulated Lending Platform” Kaha Jata Hai.

Google Play Store Ka Description Par Paya Gaya Hai – Credit And Finance Management App Hai. “Mintpop Helps You Manage Credit, Track Expense, And Improve Financial Health”. Par Ya Misleading Hai, Kyunki Real Main Ya Loan Provide Karte Hai Bahut Kam Samay Ke Liye Or Bahut Jauda Charges Lete Hai Customer Se. Lagbhag 40% Kabhi Kabhi 50% Tak Jate Hai.

Aise Loan Lena Aapne Aap Main Ek Tension Hai. Lakin Feer Bhi Alag Alag Karan Se Customer Ko Loan Chahiye Hota Hai. To Is Sthiti Me RBI Registered Bank, NBFC, Loan App Se Loan Lena Ek Sahi Decision Hai.

RBI Ne 2023 Ko Digital Lending Rules Ko Strict Banaya Tha Jisme Clear Mention Tha Ki Sirf RBI Registered Bank, NBFC, Loan Apps Hi Customer Ko Loan De Sakta Hai. Agar Koi App 7 Din Ke Liye Loan De Raha Hai, Or Badle Main 30-40% Extra Paisa Recovery Le Raha Hai Saath Main Charges Ko Hidden Rakhte Hai, To Wo Unlicensed Lending Activity Ke Andar Aata Hai.

Is Link Par Kuch Trusted, Genuine, RBI Registered, Loan Ka Options Hai 👇👇👇

Note – Loan Se Related Kuch Disclaimer Niche Mil Jayega, Dhan Se Read Karein. 👇👇👇

Mint Pop App Ek Misleading App Hai. Jo Ki Real Main Ek Loan App Hai, Lakin Play Store Ka About Section Tatha Description Main Kahin Loan App Ha Aisa Mention Nahi. Background Reality Hai Ya App 7 Din Ke Liye Loan Dete Hai Or 30-50% Tak Ka Extra Paisa Leta Hai Customer Se Alag Alag Fees Or Hidden Charges Ke Naam Par. Sidha Batayoo To Mintpop Ek Fake Loan App Hai. Jo RBI Ka Guidelines Ko Follow Nahi Karte Hai.

Aisa Loan App Se Door Rehna Hi Best Hai. Agar Loan Ki Zarurath Ho, To Sirf RBI Registered Bank, NBFC, Ya Trusted Personal Loan Apps Ka Hi Chayan Karein.

Agar Video Evidence Chahiye Or Valid Source Chahiye To Niche Main Video Share Kiya Hoo, Dhan Se Video Ko Dekhligiye Kuch Important Jankari Milega. 👇👇👇

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top